Tuesday, April 1, 2008

chalo ek baar phir se......


Chalo ek baar phir se, ajnabi ban jaye ham dono

Na main tumse koi ummeed rakhoon dilnavaazi ki
Na tum meri taraf dekho galat andaaz nazaron se
Na mere dil ki dhadkan ladkhadaaye meri baaton mein
Na zaahir ho tumhaari kashm-kash ka raaz nazaron se


Tumhen bhi koi uljhan rokti hai peshkadmi se
Mujhe bhi log kehte hain, ki yeh jalve paraaye hain
Mere hamraah bhi rusvaaiyaan hain mere maajhi ki
Tumhaare saath bhi guzri hui raaton ke saaye hain


Taarruf rog ho jaaye to usko bhoolnaa behtar
Taalluk bojh ban jaaye to usko todnaa achchha
Voh afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin
Use ek khoobsoorat mod dekar chhodna achchha



nice song........

4 comments:

bunty said...

boringggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggg

Anonymous said...

चलो एक बार फिर से अजनबी बन जाए हम दोनों

ना मैं तुमसे कोई उम्मीद रखूं दिलनवाजी की

ना तुम मेरी तरफ देखों गल्त अंदाज नजरों से

ना मेरे दिल की धड़कन लड़खड़ाए मेरी बातों में

ना जाहिर हो तुम्हारी कशमकश का राज नजरों से


तुम्हें भी कोई उलझन रोकती है पेशकदमी से

मुझे भी लोग कहते, का ये जलवा प्यारा है

मेरे हमराह भी रुसवाईयां हैं मेरे माझी की

तुम्हारे साथ भी गुजरी हुईं रातों का साया है

तारूफ रोग हो जाए तो उसको भूलना बेहतर

ताल्लूक बोझ बन जाए तो उसको तोड़ना अच्छा

वो अफसाना जीसे अनजाम तक लाना ना हो मुमकिन

उसे एक खूबसूरत मोड़ देकर छोड़ना अच्छ
बहुत ही लाजवाब... जितनी भी तारीफ की जाए कम है........................

preetisoni said...

sukriya...isliye ye hamri fevrioute gazlo me se ak hai..:):)

mrityunjay said...

this is my One of the most favourite songs of all time. Meaningful, yet with sad end.“ woh chal rahaa tha saath mere ek ajnabi ki tarah, samjhaa tha jise humsafar maine zindagi bhar ke liye”